Aajkal apne desh men ek fashion chal pada hai
Jor aajmais hai ki corruption men kaun kitna bada hai
Afsoro aur raajnetaon men competition chal raha hai
Har koi apne pet ke mutaabik maal nigal raha hai
Is khel ke ek se ek maharathi aur dhurandhar hain
Kucch sipahi, kucch senapati aur kucch sikandar hain
Sab dhurandharon kee ek se ek badkar misaal hai
Kya kar legi janta wo to pahle se hee nidhaal hai
Tabhi to ‘common wealth’ dekhkar raja ji ko josh aa gaya
Unohone aisi shot lagaayi ki kalmaadi ji ka hosh kho gaya
Sau do sau nahi, hajaro karon ka ghotaala
Ab to chahe wo pahante ho voto kee maala
Bechare kalmaadi ji pashchataap ke aanshu poncch rahe honge
Kisee kone men dubke yahi soch rahe honge
Ek mauka tha to aur haath kyno na failaaya
Mere hee viraadar ne mujhse kai guna jyaada kamaaya
Waise nahee hai ye koi baat naee
Janta ko milee hai aisee saugaat kaee
Ab tak na jaane kitane logo ne yah short cut apnaaya hai
In logo ne to kewal kucch option hee badaaya hai
Sankshep men yah katha boforce, yuria, hawaala hai
Cheenee, taaboot aur chaara ghotaala hai
Karai ‘tej’ vintee. sunle he oopar waale
Bachaa le mera Hindustan tu hee iska rakhwaala hai
No comments:
Post a Comment