Feb 14, 2018

MAHASHIVRATRI KI SHUBHKAMNAY


Kholo pat shiv shankar
Dwaar tumhaare darshan ko aaya hun
Janam- janam  ka dukhiya hun
Tumse vandan kkarne aaya hun
Paap gathariya hai bhaari meri
Tumhaare charno men tarpan karne aaya hun
Nahi bhog, na koi modak mewa
He prabhu shrddha suman arpan karne aaya hun
Naam tumhaara jag men sankathaari hai
In aankhon se tumhaara darshan karne aaya hun
Tumhaari mahima ved, puraan, sant sab gaate hain
Tumhaare darshan se man ko paawan karne aaya hun
He parvati- pati mahadev avinaashi
Apni gaagar gyaan se bharne aaya hun
Kare Tej vinti suniye bhole Shankar
Tumhaare charno men khud ko arpit karne aaya hun

May 21, 2017

Kabhi Ram Likhun Kabhi Shyam Likhun



Kabhi ram likhun, kabhi shyam likhun
Kabhi seeta, kabhi radha tera naam likhun
Aata hai yahi dil men sada
He prabhu har kaagaj pe tera naam likhun
Kabhi givind, kabhi ghanshyam likhun
Kabhi jaanki,kabhi kaali naam likhun
Aata hai yahi dil men sada
He prabhu har kaagaj pe tujhe paigam likhun
Kabhi ganga likhun,kabhi jamuna likhun,
Kabhi kaashi, kabhi vrindavan dhaam likhun
Aata hai yahi dil men sada
He prabhu har kaagaj pe tumhe pranam likhun


Feb 1, 2017

NAMAAMI SHAARDE


                 NAMAAMI SHARDE

He sharde apni veena se fir prem ka raag jhankrit kardo
Bharat ka maan tumhi se hai isko fir aaj alankrit kardo

Saahas, satya, ahinsa, prem, daya ,karuna,
Sheel, gyan  aur Bharat ki tyaag tapsya,
Rashtra prem ki Panna ki wah amar kahaani
Bharat ke veero ki gathayen fir aaj anaavrit kardo
He sharde apni veena se ------------------------------

Nav yug men ab nav chetan ki baat chale
Vaani se jyada ab haath-paanv chale
Is yug ke maanav ke dusit maanas ko
He ambe fir apni daya se aaj parishkrit kardo
He sharde apni veena se ----------------------

Har Bharatvaasi ke hriday men raashtra bhaav prabal ho
Sachchai kee raah na chute itna imaan sabal ho
Bharat ke adamya saahasi, veer javaano ke haatho men
He ambe ! Bharat kee seemayen sanvrit kardo
He sharde apni veena se --------------------------

Purakaal kee wahi samridhi, wahi shakti Bharat men fir aaye
Har ghar men mangal ho, kheton men hariyaali fir chhaaye
Tere charno men nit anuraag badhe  Tej yahi tujhse vinati krata
He aambe  hampe dayaa dhaaro, hamaara parishram aaj puraskrit kardo
He shared apni veena se ------------------------------------------------------------





Dec 15, 2016

Yaad Rakhega Vatan Unko



Yaad rakhega vatan unko
Jo dharti mnaa pe sheesh chadhate hain
Jai hind jai hind kahkar
Jo bhari jawani men gujar jate hain

Roj aata nahi waqt
Himalay pe tiranga fahrane ka
Milta hai mauka kismet se kabhi
Dharti mnaa pe sheesh chadhane ka

Baad jane ke unke
Rota hai vatan unki kurbaniyno par
Ho jate hain wo amar jahna men
Sheesh jhukte hain unki nishaniyno par

Cheen le koi hamse hamara vatan
Hai nahi kisi ki bhujaon men dam
Tamanna-e-TEJ  hai yahi ki chum lun us jami ko
Jahna par shaheedno ne rakhe the apne kadam

Sep 11, 2016

Mahaamanvo Ke Pad Chinho Par


  ON TEACHER’S DAY     
              
  Mahaamanvo Ke Pad Chinho Par

Mahamanvo ke pad chinho par tum chalte jao
Rok  sakega na tam ka bandhan gyan deep liye tum  jalte jao

Sankalp tumhara adig himalya jaisa ho, manjil ke prati badate jao
Unche bahut sikhar hain to kya? Man men vishwas liye chadate jao

Ankon men men lakshya tumhara ho, bhala bura sabka sunte jao
Har upwan, har dali se tum mahakte phoolon ko chunte jao

Mehnat aur lagan ki tuli se jeevan men rang naya bharte jao
Manjil dur na hogi tumse, bas kartavya sada apna karte jao

Anushasan men dhalkar dekho, ye wishva tumhara hai
Vijayee bano, kirtiman bano yahi ashirwad hamara hai