Oct 20, 2015

HE PRABHO ! HAME DIJIYE VAR



He prabho ! Hame dijiye var
Kalyan ho hamara
Ho hriday men gyan sanchit
 Darsh ho tumhara
Chalen ham srijan path par
Nit nav nirmaan karte rahen
Ho man men vishwa kalian kee bhavna
Nij vatan kee sewa karte rahen
Jo hain deen heen , trashit, vikal
Unke hit bhi kuch kaam kar den
Ho bulandiyon par vatan apna
Jag men iska ooncha naam kar den
Jo hain andhere men unka bhi kalian ho
Do shakti hamko vahna roshani kar den
Jo hain khinn, jeevan se aas kho baithe
Do shakti hamko ham unme vishwas bhar den
Ho desh men sarvatr hariyali, holi aur diwali ho
Ho khushiyan charo or is tarah ho  hamara vatan
Ho id ki sandhya, baishakhi yahan roj ho
Milkar manayen tyohar saare aisa ho hamara vatan
Ho isha ka janm din to har ghar men jhanki saji ho
Id men ham den mubarakbad, gale milte rahen
Ye vatan hi hamara gulshan, vatan hi hamari manjil
Hai arju-e-tej yahi ki banker gul ham khilte rahen





1 comment:

  1. Blogging is the new poetry. I find it wonderful and amazing in many ways.

    ReplyDelete